Kusum Lata (Kusum Lata )
ID: 4300c43233a2

शिक्षा के गुमनाम नायक

  • Gender: 👩 Female
  • Class / Role: 👩‍🏫 Teacher
  • School: 🏫 Uchch madhyamik vidyalaya Nasira,manjhi ( उच्च माध्यमिक विद्यालय नसीरा, मांझी )
  • District & Block: 📍 SARAN, MANJHI
  • Applied Category: 📝 स्वयं शिक्षक
Competition Photos
"Shiksha sarwopari"

Bat lagbhag ek sal pahale ki hai,mere school ki ek pyari w intelligent ladaki ne pyar se mere hath me approx 2000 Rs rakhate huye bola "mam kya aap mere liye book kharid kar la dengi?".pahale to mujhe kuchh samajh nhi aaya ki wah kah kya Rahi hai but jab Puri bat maine suni or usaki bat samajhi to meri aankhe nam ho gai 

            Usame kha mam hamlog gaw ke vidyalaya me padhate hai or yha stationary waisa nhi hai jha matric,inter ke sare books mil sake,isake liye shahar jana hi ek upay hai jo ham ladakiyo ke liye possible nhi hai.Hamare gurdian hame itani door akele to bilkul nhi Jane denge or book nhi hone ki wajah se hamari padhai bahut jyada prabhavit hoti hai .

         Sach bolu to wo ladaki mere vidyalay ki matric topper ladaki thi,or sadhan ka abhas,shahr se door gaw me rahana,and in chhoti chhoti bacchiyon par pariwar ki jimmedari unake sarwangine Vikash me bahut badi badha ban rahi hai.

      Maine usake prastaw ko swikar to liya ye bol kar ki Mai shahar se aati hu tumhara book jarur la dungi but ye paise tum apane pas rakho ,apane jarurat ka koi or kam kar lena.mai tumhara sara book(intermediate science) tumhe jarur lakar dungi Next day maine use intermediate ki physics, chemistry, biology ki sabhi books lakar di or bola tum bas man laga kar padho or khub tarakki karo,aage yadi Mai kuchh or help kar pai tumhari to tum mujhase bejhijhak bolana.

Us bachchi ke face par mere prati pyar,sanidhya,sneh or sabase badi bat respect saph dikhai de rha tha.

Bachcho ka education aise abhas w pareshaniyon se to bilkul bhi prabhavit nahi honi chahiye.

Jai hind